Dialysis क्या है? और कितने तरीको से करवाया जा सकता है? Hemodialysis | Peritoneal | Tata 1mg
Tata 1mg Tata 1mg
1.91M subscribers
2,794 views
0

 Published On Feb 26, 2024

Dialysis क्या है? और कितने तरीको से करवाया जा सकता है? Hemodialysis | Peritoneal | Tata 1mg
Jab bhi hamari kidneys kaam karna band kar deti hain to kidney ka kaam karne ke liye doctors hume dialysis ke liye bolte hai. Aaj ki video mai hum ye hi jaane wale hai ki kidney dialysis kya hota hai ye kitne prakar se kara jata hai? Or dialysis karne ka kya procedure hota hai. Or iske types ke kya side effects hote hai?

Dialysis kya hota hai?
Dialysis ek medical procedure hai jo kidney failure ya kidney damage ke patients ke liye kiya jata hai. Kidney normally blood ko purify karte hain aur toxins aur excess fluids ko urine ke through bahar nikalte hain. Jab kidneys properly kaam nahi karte, tab dialysis ki zarurat padti hai.

Jaise ki hum samjh gye honge ki dialysis kya hota hai or kyu kara jata hai. Ab jaante hain iske types:-

Dialysis mainly 2 prakar ke hote hain:-
1. Hemodialysis
2. Peritoneal Dialysis

1. Hemodialysis - What it is, Process, side effects, Preventions
Is procedure mein patient ke blood ko ek machine ke through filter kiya jata hai, jise dialyzer kehte hain. Yeh procedure generally dialysis center mein ya hospital mein kiya jata hai aur trained medical staff dwara supervised hota hai.

3:19 - What is the Process of Hemodialysis?

Side effects of Hemodialysis?
1. Low BP
2. Faint
3. Allergy
4.Itching
5. Electrolyte imbalance

2. Peritoneal Dialysis

Peritoneal Dialysis (PD) bhi ek medical procedure hai jo kidney failure ya kidney damage ke patients ke liye kiya jata hai, lekin ye ek alag technique hai compared to Hemodialysis. Is procedure mein abdomen (pet) ke andar ek solution ka use kiya jata hai jo blood ko purify karta hai.

Side effects of Peritoneal Dialysis?

1. Bloating
2. Nausea
3. Tiredness

Thank you for Watching
#dialysis #dialysislife #tata1mg #kidneyfailure #hemodialysis

Subscribe to our channel for more videos and get an answer to your queries: http://bit.ly/Subscribe_1mg

Connect with us on:-

To consult a specialist doctor http://bit.ly/2PwD6QA
Facebook:   / 1mgofficial  
Visit our website at https://bit.ly/2Zvv7JX

show more

Share/Embed