Kali Kali Zulfon Ke | Kabul Bukhari | Ustad Nusrat Fateh Ali Khan Sahab | Cover Song
Kabul Bukhari Kabul Bukhari
337K subscribers
3,180,690 views
0

 Published On Premiered Nov 15, 2023

Bookings and queries: The Right Management +91 9915982444

Kali Kali Zulfon Ke originally sung by Nusrat Fateh Ali Khan Sahab. Just a humble attempt. Hope you all like it ❤️


Cover Song Credits:
Singer: Kabul Bukhari
Music: Kabul Bukhari and Lubhanu Priy
Video: Rohann Malik
Edit: Monday Morning Films

Spotify: https://open.spotify.com/track/2Xmr9g...

Streaming on all music platforms🎼

Lyrics:

Aap is tarah toh hosh udaaya na kijiye
Yoon ban sanwar ke samne aaya na kijiye
Kali kali zulfon ke phande na dalo
Humen zinda rehne do ae husn walo

Na chhdedo humen hum sataye huye hain
Bauhat zakhm seene pe khaye huye hain
Sitamgar ho tum khoob pehchante hain
Tumhari adaoun ko hum jante hain

Daghabaz ho tum sitam dhane wale
Fareb E Mohabbat me uljhane wale
Ye rangeen kahani tumhi ko mubarak
Tumhari jawani tumhi ko mubarak
Hamari taraf se nigahen hata lo
Humen zinda rehne do ae husn walo
Kali kali zulfon ke phande na dalo
Humen zinda rehne do ae husn walo


Achi surat ko sanwarne ki zarurat kya hai
Sadgi mein bhi qayamat ki adaa hoti hai
Tum jo aa jaate ho masjid me adaa karne namaz
Tumko maloom hai kitno ki qaza hoti hai

Mast akhon ki baat chalti hai
Maikashi karwaten badalti hai
Ban sanwar kar wo jab nikalte hain
Dilkashi sath sath chalti hai

Haar jaate hain jeetne wale
Wo nazar kaisi chaal chalti hai
Jab hatate hain rukh se zulfon ko
Chand hasta hai raat dhalti hai

Bada kash jaam tod dete hain
Jab nazar se sharab dhalti hai
Kya qayamat hai unki angdayi
Khich ke goya kamaan chalti hai

Yun haseeno ki zulf lehraye
Jaise nagan koi machalti hai
Kali kali zulfon ke phande na dalo
Humen zinda rehne do ae husn walo


Smbhalo zara apna anchal gulabi
Dikhao na hass hass ke ankhen sharabi
Salook inka duniya me achha nahin hai
Haseeno pe hum ko bharosa nahin hai

Uthate hain nazren to girti hai bijli
Adaa jo bhi nikli qayamat hi nikli
Jahan tumne chehre se aanchal hataya
Wahin ehl e dil ko tamasha banaya
Khuda ke liye humpe dore na daalo

Humen zinda rehne do ae husn walo
Kali kali zulfon ke phande na dalo
Humen zinda rehne do ae husn walo






#qawali #nusratfatehalikhan #nfak #sufimusic #sufi #poetry #shayari #sadshayari #sadpoetry #ghazal #livemusic #liveshow

show more

Share/Embed