Maikada | Muhammad Samie [HD]
Muhammad Samie Muhammad Samie
322K subscribers
26,478,132 views
0

 Published On Dec 15, 2018

Short Sufi Spells (Chapter 1) | The Fifth Spell
MAIKADA | Muhammad Samie
======================================
Singer & Composer: Muhammad Samie
Lyrics’ Selection & Arrangement: Muhammad Samie
Poets: Jigar Muradabadi | Josh Malihabadi | Mir Anees | Qamar Jalalvi | Hafeez Banarasi
======================================
AUDIO CREW:
Music Production: Jay Ali
Tabla: Zain Ali
Harmonium: Jay Ali
Guitars: Musa Raza
Recording, Mixing and Mastering: Jay Ali
Chorus Group Vocals: Jay Ali, Harris Jarral, Hassan Shah, Waleed Attique
Production House: Soul Speaks
======================================
VIDEO CREW:
Director: Arslan Farooqi
Video Concept: Muhammad Samie & Arslan Farooqi
Art Work: Muhammad Samie
Production Coordinator: Ali Nagi
Location Manager: Hassan Sheikh
Wardrobe: Muhammad Samie
Lighting: Ali Shah
Production House: Arslan Farooqi Films
======================================
© 2018 – Short Sufi Spells
======================================
“Maikada is symbolic. Viewers/ Listeners are advised to interpret with caution and at their own risk.”
- Samie
======================================
Follow Samie on:
Youtube:    / muhammadsamie  
Facebook:   / msamieofficial  
Instagram:   / samie_muhammad  
Twitter:   / muhammadsamie  
Official Website: https://www.muhammadsamie.com
======================================
LYRICS:
Ye hai maikada yahan rind hain, yahan sab ka saqi imam hai
Ye hai maikada yahan rind hain, yahan sab ka saqi imam hai
Ye hai maikada yahan rind hain, yahan sab ka saqi imam hai
Ye haram nahi hai ay shaikh jee,
Ye haram nahi hai ay shaikh jee, yahan paarsaai haram hai
Ye Hai Maikada Ye Hai Maikada
Ye Hai Maikada Ye Hai Maikada
[Group Vocals]

Jo zara si pee ke behek gaya, usay maikaday se nikaal do
Jo zara si pee ke behek gaya, usay maikaday se nikaal do
Yahan kam-nazar ka guzar nahi,
Yahan kam-nazar ka guzar nahi, yahan ehl-e-zarf ka kaam hai
Ye Hai Maikada Ye Hai Maikada
Ye Hai Maikada Ye Hai Maikada
[Group Vocals]

Ye janab-e-shaiḳh ka falsafa, jo samajh mein meri na aa saka
Ye janab-e-shaiḳh ka falsafa, jo samajh mein meri na aa saka
Jo wahan piyo to halal hai,
Jo wahan piyo to halal hai, jo yahan piyo to haram hai
Jo wahan piyo to halal hai, jo yahan piyo to haram hai
Ye Hai Maikada Ye Hai Maikada
[Group Vocals]

Koi baadaa-kash koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai
Ab is mein koi kahe ga kya, ye to maikaday ka nizam hai
Ye hai maikada Ye hai maikada
Ye hai maikada Ye hai maikada
[Group Vocals]

Kuch soch ke shama’a pe parwana jala hoga
Shayad isi jalne mein jeene ka maza hoga
Jis waqt ye mai tu ne botal mein bhari hogi
Saqi tera masti se kya haal hua hoga
Maikhane se masjid tak paaye gaye naqsh-e-paa
Ya rind gaye hon ge ya shaikh gaya hoga

Sab se buland hai mere saqi tera muqam
Leta nahi baghair wuzu tera koi naam
Insaan to kya farishtay bhi kartay hain ehtaraam
Hain maah-o-aftaab tere maikaday ke jaam
Qaim Muqam hai tu Risaalat Ma’ab (S.A.W.W.) ka
Qindeel-e-arsh hai tera sheesha sharaab ka

Saqi datti hui hai kharaabation ki saf
Phela hua hai abr-e-gauharbar har taraf
Botal ka kaak khol, utha kaif baar-e-duf
La bada-e-Madina-o-paimana-e-Najaf
Tat’heer ki rida hai falak par tani hui
De daman-e-Rasool-e-Khuda (S.A.W.W.) mein chani hui

Khurshhed-e-mudda’a mera burj-e-sharaf mein hai
Ik saqi Karbala mein mera ik Najaf mein hai
Le woh Najaf ki simt se aanay lagi sada
Saqi mera salam-e-adab le keh mein chala
Maula-e-Kainaat (A.S.) aur awaz de mujhe
Ay Jibrail (A.S.) quwwat-e-parvaaz de mujhe
#MuhammadSamie #Maikada #ShortSufiSpells

show more

Share/Embed